Long Hair Tips : Apnaye Kuch Asaan Tips Aur Paiye Lambe Baal


Long Hair Tips : Apnaye Kuch Asaan Tips Aur Paiye Lambe Baal


• Massage ek bahut aham hissa hai hair growth ke liye, jo ki aapko lambe aur ghane baal deta hai. To dhyan rahe ki week me 2 baar na keval tel lagana chahiye balki acche se massage bhi karna chahiye.
• Khatte dahi mai thodi si fitkari mila de aur thodi si haldi. Iss mishran ko baalo mai lagane se na sirf sar ki gandagi saaf hoti hai balki agar aapke sar mai koi infection ho to, wo bhi dur ho jata hai.
• Week me ek bar jaitun ka tel jarur lagaye.
• Methi dana ko piskar baalo me lagye is se aapke baalo ki growth hoti hai, sath hi aapke baal lambe kale aur ghane dikhte hai.
• Baalo ko lamba karne ke liye aawla bahut hi jaruri hota hai, kyuki isme vitamin C parchur matra me hota hai, to ese me aapko na keval aawla khana chahiye balki apane baalo me lagana chahiye.
• Baalo me anda aur mehndi lagye. Isse aapke baal chamkdar aur sundar ho jayege.
• Use ki hui chai patti ko thoda sa pani daal kar ubaal le, phir ise apne baalo me lagaye. Is kriya ko kam se kam week me ek baar jarur kare, jisse aapke baal majbut ho jayge.
• Do muhe baal hone se baalo ki growth par asaar padta hai. To samay- samay par baalo ki trimming karate rahe.
• Hair growth ke liye Alo vera ka use kare isse aapke baalo ki lambai bahut jadli badti hai.
• Pyaj ka ras balo me lagane se bhi baal kale ghane aur majbhut hote hai.
Long Hair Tips : Apnaye Kuch Asaan Tips Aur Paiye Lambe Baal Long Hair Tips : Apnaye Kuch Asaan Tips Aur Paiye Lambe Baal Reviewed by Unknown on 06:16 Rating: 5

No comments:

20 मिनट मे गोरी त्वचा पाने के घरेलू उपाय

http://healthbeautyera.blogspot.com. Powered by Blogger.